na tera qurb, na baada hai, kya kiya jaey
phir aaj dukh bhi ziyada hai, kya kiya jaey
hamen bhi arz-e-tamanna ka dhab nahi aata
mizaaj-e-yaar bhi saada hai, kya kiya jaey
kuch apnay dost bhi tarkash-badosh phirtay hen
kuch apna dil bhi kushaada hai, kya kiya jaey
wo mehrban hai magar dil ki hirs bhi kam ho
talab karam se ziyada hai, kya kiya jaey
na us se tark-e-ta’aluk ki baat kar paaen
na ham’dami ka irada hai, kya kiya jaey
salook-e-yaar se dil doobnay laga hai FARAZ
magar ye mehfil-e-aada hai, kya kiya jaey