mohabbat ke anokhe the sabhi andaz kya karten
rahe hum bhi gureza aap bhi naraaz kya karten
sanam tuhse muhabbat ka bhala andaaz kya karten
labon par baat aayee par na thi awaaz kya karten
mere ahbaab kya karten mere dumsaaz kya karten
mujhe jab dard hi tha raas charasaaz kya karten
hajum-e-shaher mei hum kho gayen kuch chaen paane ko
akele mei satati thi teri awaaz kya karten
dil-e-nazuk hamara uss ne pal mei tord daala tha
use bhaati thi toote kaanch ki awaaz kya karten
hum unke saamne chup saadh kar baetha kiye phir bhi
jafa karni se pesh aaya vo heela saaz kya karten
saja kar sau tabassum ek gham tumse chhupati thi
magar “amnol” ke wo jaan kar tum raaz kya karten
Re: kya karten!!
Umda Umda Jw kuch spelling mistakes hain but achi sharing hai 
Re: kya karten!!
Mohabbat Ke Anokhe Thay Sabhi Andaz Kya Kartay
Rahe Hum Bhi Gurezan Aap Bhi Naraaz Kya Kartay
Sanam Tujhse Muhabbat Ka Bhala Andaaz Kya Kartay
Labon Par Baat Aayee Par Na Thi Awaaz Kya Kartay
Mere Ahbaab Kya Kartay Mere Dumsaaz Kya Kartay
Mujhe Jab Dard Hi Tha Raas Charasaaz Kya Kartay
Hujum-E-Shaher Mein Hum Kho Gaye Kuch Chaen Paane Ko
Akele Mein Satati Thi Teri Awaaz Kya Kartay
Dil-E-Nazuk Hamara Uss Ne Pal Mein Torr Daala Tha
Usay Bhaati Thi Toote Kaanch Ki Awaaz Kya Kartay
Hum Unke Saamne Chup Saadh Kar Betha Kiye Phir Bhi
Jafa Karni Se Paish Aaya Vo Heela Saaz Kya Kartay
Saja Kar Sau Tabassum Aik Gham Tumse Chhupati Thi
Magar “Amnol” Ke Wo Jaan Kar Tum Raaz Kya Kartay
