~:Kya Kartay:~

laakh hoshyaar thay par baat bari kya kartay
sahib-e-qadr tha wo, us se ardi kya kartay

hum ne chaaha tha k sehra ko hi abaad karein
raet hi raet thi, deewaar khari kya kartay

chor kar kaar-e-jahan hum ne faqat ishq kia
fursat-e-zeest thi do chaar ghari kya kartay

ek kasha-kash thi so behtar tha juda ho jana
dil se milti hi na thi dil ki kari kya kartay

chaak daamaan-e-wafa ko thi rafuu ki haajat
khaar matloob thay phoolon ki lari kya kartay

kisi zeenat ki rawadaar thi na faaqa kashi
lay k dastaar nageenon se jadi kya kartay

zeest k pehlay bhi chehray to na thay kam taa-ham
adbada k nazar us par hi pari, kya kartay

ho gaey deeda-e-daaman sabhi geelay SHAARIK
baarish-e-gham ki youn bochaar pari kya kartay

Re: ~:Kya Kartay:~

nice one per bohat lambi hai mujey tu rasste main he neend a gai

Re: ~:Kya Kartay:~

ye to bas apnay apnay hoslay, apni talab ki baat hai.
waisay mujay aap se dili hamdardi hai. :)

Re: ~:Kya Kartay:~

kyun mere saath aisa kya hoa jo app hamdard bun rahe hain

Re: ~:Kya Kartay:~

hamdardi is liye k aap se ek poem hi nahi parhi gaee. Poetry itni buri cheez nahi hai. Aap try to karein parhnay ki. ALLAH behtar karay ga. :)

sher se shaairi se dartay hein
kam-nazar roshni se dartay hein
log dartay hein dushmani se teri
hum teri dosti se dartay hein

Re: ~:Kya Kartay:~

durpook kahin ke:D

Re: ~:Kya Kartay:~

very nice...

Re: ~:Kya Kartay:~

great!......................:)

Re: ~:Kya Kartay:~

[quote]
durpook kahin ke:D<!-- / message -->
[/quote]

I must admit that.

ANd Sonia n MooN MinE. pazeeraee ka shukriya :)