*kya karoon*dedication to all lovers of poetry

Re: *kya karoon*dedication to all lovers of poetry

Qarbatoun mein bhi judai kay bahanay mangay
Dil wo bemeher kay rounay kay bahanay mangay
Hum na hotay to kissi aour kay charchay hotay
Khalqat e sheher to kehnay ko bahanay mangay
Yehi dil tha keh tarasta tha marasam kay liyay
Abb yehi tarq e taluq kay bahanay mangay
Dil kissi haal pay qanay nahi jan e faraz
Mil gayay tum bhi to kia aour na janay mangay

Adaab