raatoon mainn gar na ashk bahaaun to kyaa karon
ik pal bhii us ko bhuul na paaon to kyaa karon
main ne sunaa hai un ko andhere nahiin pasand
raahon mein ab main dil na jalaaon to kyaa karon
tumhii kaho ki chor de jab zindagii bhii saath
phir maut ko gale na lagaaon to kyaa karuuon
sochaa to thaa ki chor duuon us kii galii ‘Murad’
lekin kahiin qaraar na paaon to kyaa karon
Re: *kya karoon*dedication to all lovers of poetry
thx
Re: *kya karoon*dedication to all lovers of poetry
hmm it,s good beingo i really i liked it touche
Re: *kya karoon*dedication to all lovers of poetry
thx u all
Re: *kya karoon*dedication to all lovers of poetry
Qarbatoun mein bhi judai kay bahanay mangay
Dil wo bemeher kay rounay kay bahanay mangay
Hum na hotay to kissi aour kay charchay hotay
Khalqat e sheher to kehnay ko bahanay mangay
Yehi dil tha keh tarasta tha marasam kay liyay
Abb yehi tarq e taluq kay bahanay mangay
Dil kissi haal pay qanay nahi jan e faraz
Mil gayay tum bhi to kia aour na janay mangay
Adaab
Re: *kya karoon*dedication to all lovers of poetry
Koi baat nahi abhi nia houn iss kochay mein,shaid yeh mujhay niyay thread mein post karna chahyay thaa.
Shaied unhein pata tha keh khatir hay ajnabi
Logoun nay usko loot lia teray sheher mein
Adaab
Re: *kya karoon*dedication to all lovers of poetry
Adaab Parda bibi..tashakar
Sabaq Amoz ahl-e-dil hay parwanoun ki khamoshi
Jallay jatay hein likin majrayai dil nahi kehtay.
Adaab
Re: *kya karoon*dedication to all lovers of poetry
woh aaye is forum main khudaa ki qudrat hai
kabhi hum unko kabhi iss forum ko dekhtay hain
a very warm welcome 2 u both
Re: *kya karoon*dedication to all lovers of poetry
qurbato.n me.n bhii judaa_ii ke zamaane maa.Nge
dil vo bemehar ki rone ke bahaane maa.Nge
apanaa ye haal ke jii haar chuke luT bhii chuke
aur muhabbat vahii andaaz puraane maa.Nge
ham na hote to kisii aur ke charche hote
khalqat-e-shahar to kahane ko fasaane maa.Nge
dil kisii haal pe maane hii nahii.n jaan-e-'Faraz'
mil gaye tum bhii to kyaa aur na jaane maa.Nge
Re: *kya karoon*dedication to all lovers of poetry
i think k aap ne jo ghazal likhi woh sahi nahi some mistakes or YEH AHMED FARAZ ki hai thx carez