**kaam aa saki na apni wafaaei’n to kya karein
ek bewafa ko bhool na jaaei’n to kya karein
shab bhar to un ki yaad mein taare gina kiyey
taaray say din ko bhi nazar aaein to kya karein
mujko ye aetraaf, duaon mein hai asar
jaein na arsh par jo duaein to kya karein
ek din ki baat ho to usay bhool jaein hum
nazil hon roaz dil pay balaein to kya karein
ab g mein hai k unko bhula kar hi dekh lein
wo baar baar yaad jo aein to kya karein
**