***Yeh Kya har dam kisi ki minnataiN karna
Kya Isko kahtay hain Mohabbat karna?
Jo Apni Qismat main hai, milay ga wohi
Phir kis baat pay Rab sey shikayatain karna
Yeh Pagalpan nahi tou aur kya hai ajnabi~
Phir zameen ka ho kar aasman sey bhagawatain karna
Bohat kar chuka hai Logo Pyaar Yeh Dil
Ab koi sikhai isko bhi nafratain karna
Pahlay yaad karna usay phir rotay rahna
Na janay kab choray ga yeh Dil harkataiN karna..