**Kya aah bharay koi !
Jab aah nahin jati
Dil say bhi zara gehri
Aur arsh say kuch oonchi
Kya nazm likhay koi !** **
Jab khwab ki qeemat mein
Aadarsh ki soorat mein
Kashkoal gadaei ka
Sha’er ko diya jaey
Aur roak liya jaey
Jab shaer utarnay say
Badal say zara oopar
Taron say zara neechay
Kya khaak likhay koi** **
Jab khaak kay medan par
Ungli ko hilanay say
Toofan nahin uthta
Jab shakh pay imkan ki** **
Iss dasht e tamanna mein
Ik phool nahin khilta
Rahwar nahin ruktay
Mohoam si manzil par
Aankhon kay isharay say
Aur noor ki boondon ki** **
Bochhar nahin hoti
Ik neelay sitaray say
Jab dil kay bulaway par** **
Iss jheel kanaray par
Peghaam nahin aata
Ik door ka bashinda
Ik khwab ka shehzada
Gulfaam nahin aata
Basti mein koi aurat** **
Raton ko nahin soati
Jaagi huwi aurat ki
Soei huwi qismat par
Jab koi bhi deewana
Be chain nahin hota
Dehleez kay pathar say** **
Takra kay jabin apni
Ik shakhs nahin roata
Jab neend kay shedaei** **
Khwabon ko tarastay hain
Aur dekhnay kay aadi
Binai say dartay hain
Reh reh kay andheray say** **
Aankhon mein utartay hain
Aankhon kay ujalon say** **
In phool say bachchon say
Keh do k na abb nangay
Paaon say chalein ghar mein
Iss farsh pay matti kay
Ab ghaas nahin ugti
Ab saanp nikaltay hain
Deewar say aur darr say** **
Ab noor ki boondon say
Mehki howi matti mein
Anmoal ujalay kay
Woh phool nahin khiltay
Ab jheel kanaray parr** **
Bichhray bhi nahin miltay
Basti mein koi aurat** **
Ratoan ko nahin soati
Aur jagnay walon say
ab nazm nahin hoti
Kya nazm likhay koi !** **
Jabb jagnay soanay mein
Paa lenay mein khonay mein
Jab baat kay honay mein
Aur baat na honay mein
Kuch farq na reh jaey
Kya baat karay koi** ** !**