qurbatooN mein bhi juda’ee k zamaanay maaNge
dil wo be-mehr keh roonay k bahaanay maaNge
hum na hotay to kisi aur k churchay hotay
khul’qat-e-shehr to kehnay ko fusaanay maaNge
yeh-hi dil tha keh turusta tha maraasim ke liye
ab yeh-hi turk-e ta’luuk ke bahaanay maaNge
zindagi hum tere daghooN se rahye sharminda
aur tu hai keh sada a’eina khaanay maaNge
dil kisi haal per qaanay hi nahin jaan-e-Faraz
mil gaye tum bhi to, kya aur na jaane maaNge?
Faraz Ahmed Faraz