Kya aisay kam sukhan se koi guftugoo karay?
Jo mustakil sukoot se dil ko lahoo karay,
Ab to hamein bhi tark-e-marasam ka dukh nhi,
Per dil yeh chahta hai k aaghaz tu karay
Tera bghair bhi to ghaneemat hai zindagi
Khud ko ganwa k kon teri justujoo karay
Ab to yeh arzoo hai k woh zakhm khaaye
Ta-zindagi yeh dil na koi arzoo karay
Tujh ko bhula k dil hai woh sharminda-e-nazar
Ab koi hadsa he teray ru-baroo karay
Chup chaap apni aag mein jaltay raho Faraz
Duniya to arz-e-haal se be-abroo karay…
Ahmad Faraz
tarash
2
Re: ~Kya aisay kam sukhan se koi guftugoo karay~
Chup chaap apni aag mein jaltay raho Faraz
Duniya to arz-e-haal se be-abroo karay…
:k:
Re: ~Kya aisay kam sukhan se koi guftugoo karay~
Ab to hamein bhi tark-e-marasam ka dukh nhi,
Per dil yeh chahta hai k aaghaz tu karay
oonchi naak 
Nain
4
Re: ~Kya aisay kam sukhan se koi guftugoo karay~
Aha sun ke acha laga 
Re: ~Kya aisay kam sukhan se koi guftugoo karay~
kia matlab hai iss shair ka?
Nain
6
Re: ~Kya aisay kam sukhan se koi guftugoo karay~
is ka mtalab hai .. ke abb sir fyehi arzoo hai ke sari zindagi zahkam kahye suhk na miley ussey tab pata chaley ga us ne mere sath kiya kya tha 
Abb yehi ek arzoo hai 
Re: ~Kya aisay kam sukhan se koi guftugoo karay~

wo zakm khae matlab ye nahin ke wo banda zakhm khae.. yahan matlab hai main wo zakhm khaoon
jiia
8
Re: ~Kya aisay kam sukhan se koi guftugoo karay~
Kya aisay kam sukhan se koi guftugoo karay?
Jo mustakil sukoot se dil ko lahoo karay,
me to aik second na berdasht karon ese bande ko 
akela rhy marey para rhy 
Nain
9
Re: ~Kya aisay kam sukhan se koi guftugoo karay~
kya mae ne galth pher liya 
Apney app ko hi bad duaaa :nono: abi umer hi kay hai app ki 
Re: ~Kya aisay kam sukhan se koi guftugoo karay~
ye shayar ke khayalaat hai.. mere nahin
tarash
11

muqa ka shair k khayalat se mutafiq hona zaroori nahin