Aik Kuwaah aur aik Ghadaa PIA ki flight mai suffer ker rahay thay,
Kuwaah bar bar Air hostess ko seat ka button daba ker bulata raha,kabhi yeh laa do,aur kabhi woh laa
do , Yeh kaafi dair tak hota raha aur Air hostess yeh sub kerti rahi,aur burdasht kerti rahi,
Ghaday nai Kuway say kaha,“Yaar teray to bohat muzay hain,Aur yeh button to bohat kaam ki cheez hai”," Mai bhi kuch try kerta houn button daba ker"
Ghaday nay Attendant Call-button dabaya aur Air hostess foran hi aa gaye,woh phelay say hi gusaay mai thee,Aur boli " Tumhari shikayat ab mai Captain say kerti houn tum dono bohat badtameez ho,
Thori he dair mai Captain bhi aa gaya aur dono passenger ko jahaz say baher phainknay ka hukum dai diya,
Abbb, Jahaz ka bahr zameen ki taraf gertay hoye, kuch youn !!!
Ghadaa “Sutianass tera,murwaa diya na kambkhat manhoos kuway”
Kuwah bola " Heheheheh, Jab urna nahi ataa to PANGA KUON LIYAA "