Kuttay...

A master piece of Faiz Ahmed Faiz

Yeh galiyoN kaY Aawarah be-kaar kuttay
kaY bakhsha gaya jin ko zoq-e gadaai

zamaanay ki phiTkaar sarmaaya unn ka
jahaN bhar ki dhutkaar unn ki kamaai

na Aaraam shab ko, na raahat saweray
ghalaazat maiN ghar, naaliyon maiN baseray

jo bigRaiN tau ik doosray saY laRa dau
zara aik roTi ka tukRa dikha dau

yeh har aik ki thokaraiN khaanay waalay
yeh faaqoN say ukta kay mar jaanay waalay

yeh mazloom makhlooq gar sar uThaaye
tau insaan sab sarkashi bhool jaaye

yeh chahaiN tau duniya ko apna bana laiN
yeh AaaqaoN kee haddiyaaN tak chaba laiN

koi in ko Ehsaas-e zillat dila day
koi in ki soi hui dum hilaa day

Re: Kuttay…

^ is it really faiz’s poetry ?? :hayaa:

Re: Kuttay…

Faiz kisii aur kaa bhii to naam ho saktaa hai.

mere dhobii kaa naam thaa Faiz…lagtaa hai usii kaa she’r hai jis ne amsh’hoor-e-zamaanah phrase kahaa thaa:

“dhobii kaa kutta na ghar kaa na ghaat kaa”

Re: Kuttay…

hahahhaahhahaahahhaahhahahaa :omg:

to aur kya… meray to chakkay chutt gaye poetry parhke keh poet ki itni tehqeeq :o :o :o