Okay this parody is of my own poem; so those who felt disgusting last time when I did the parody of Parveen Shakir, please, take a moment of silence. Thanks
oh by the way, my original poem was inpired by Farhat Abbas Shah’s one poem so this is an indirect parody of his poem anyway:hoonh:
Sar-e-Shaam, Gali par nazraiN jaamataY rehnaa
BhoNKtay kuttoN say khud ko bachaataY rehnaa
Baazaar maiN jub bhee dekhtaa hooN maiN surat uss kee Hawanaq chehraY pe maut kay kuttay manDlaataY rehnaa
Yaad uss ko woh ehd-e-kutta panaa ho kaY naa ho Mujh ko hai yaad ussko ab dilaataY rehnaa
JaanaY waalaY ko kabhi aana tau naheeN hai laikin kuttaa jo uss paar ho koi, tau hai subb ko aataY rehnaa:D
Yaad jo kabhi aataY haiN lamhaY woh Maah-e-December kaY Sard raatoN maiN medaan maiN kuttaY laRaataY rehnaa
Woh uss kee bay Wafaayee, Woh bay Rukhi, woh Sard Mehri Raat maiN bhee abb tau kuttaY say daraataY rehnaa
Hai sharamsaar Ishq, Mohabbat Sar nigooN hai laikin QissaY KuttoN kaY Anwaar phir bhee sunaateY rehnaa
Yeh galiyon ke Awara be-kaar kuttay
ke bakhsha gaya jin ko zoq-e gadai
zamanay ki phatkar sarmaya un ka
jahan bhar ki dhutkar un ki kamai
na Araam shab ko, na rahat saweray
ghalzat main ghar, naliyon main baseray
jo bigrain tou ik dusray se lara do
zara aik roti ka tukra dikha dou
yeh har aik ki thokrain khanay walay
yeh faqon se ukta ke mar janay walay
yeh mazloom makhlooq gar sar uthay
tou insan sab sarkashi bhool jay
yeh chahain tou duniya ko apna bana lain
yeh Aaaqaon ki haddiyan tak chaba lain
koi in ko Ehsas-e zillat dila de
koi in ki soi hui dum hila de
oh Gooooooooooooooooooooooooooooooooooood
Anwaar ..i cant belive this.............this is not a parody uncle...........yeh faiz ki poem hai...and i love it
and faiz did the parody of Iqbal… you should believe that.
Great poets have done it all the time…
you can see Zia-ul-Huq Qaasmi doing the parody of Saleem Kauser’s “main khiyaal hooN kissi aur kaa” to “Main lehaaf hooN kissi aur kaa”
similarly Inayat Ali KhaN Tonkee doing the parody of Ahmed Faraz “Ab kay tajdeed-e-wafaa kaa neheeN imkaaN jaanaaN” as something like “Woh rahaa khaRaa airport par aur maiN kehtaa rahaa Jaa naa! jaa naa”