kuch to sun kay haiN hastay
to kuchh haiN rotay
teray meray qissay ab bhi
haiN galiyoN meiN hotay
kuchh tujhay mujhay ilzaam detay haiN
kuchh tujhay mujhay nakaam kehtay haiN
teray meray qissay logoN kay
zubaan per aam rehtay haiN
kuchh tujhay bewafaa kehtay haiN
kuchh mujhay bewafaa kehtay haiN
ishq kya balaa hai, log tera mera
naam lekay kehtay haiN
kuchh log tujhay badnaam kartay haiN
kuchh log mujhay badnaam kartay haiN
lekin ishq kay naam per
dono ko salaam detay haiN
kuchh log teray qabar per aatay haiN
kuchh log meri qabar per aatay haiN
hum phir jee uTheN-gay ek doojay kay
liye yeh dava kar kay jaa-tay haiN