Maana diwana paagal hai
bekhudi main kuchh bhi kahta hai
par aksar chup rahta hai
uski fitrat par yaqeen kar
Maana soorat se jaheen hai
par us bholi soorat pe na ja
kal aaj kiya hai jo usne
us seerat par yaqeen kar
Main insaano ki dunia me
kai umron se zinda hu
kuchh kudrat pe yaqeen kar
kuchh kismat par yaqeen kar
Sab jakhm jism par dikhte nahi
Sab kuchh sheron me likhte nahi
Meri chahon par yaqeen kar
Meri aahon par yaqeen kar