Kuchee deewar hoon thokar na lagana mujh ko
apnee nazaron mein basa kur na girana mujh ko
tum ko aankhon mein tasawur ke tarah rakhta hoon
dil mein dharkan kee tarah tum bhi basana mujh ko
baat karane mein jo mushkil ho tumhein mahfil mein
main samajh jaungaa nazaron se batana mujh ko
**Wadah utna hee karo jitna nibah sakate ho
Khwaab puraa jo na ho woh na dikhana mujh ko
apney rishte kee nazaakat kaa bharam rakh lenaa
main to aashiq huun deewana na banana mujh ko **