kuch za’ray aankhon main chub gay thay

Thanddi rayt par laitt kar raat main taron say khailna bhi aik mash’ghala hay, saray taray pyaray roshan our barray nazar atay hain, ghar aik ko chun lo to dosra ziyda roshan our barra nazar anay lagta hay .. roshan taroon say khailtay howay khud ba khud hi soch ka dhara kal kay Games city kay safar ki taraf morr gia …
=>
Games city ki taraf jatay howay .. nukarr kay pass hi seedhay haat par aik ghar hay.. ghar kay bahir chotay say baghi’chay main aik larrki aksar baitti rehti hay .. morr morrtay howay reengh’nay ki hud tak ahista hona parrta hay .. woh 2 ya teen second ka waqfa aisa hota hay keh koi sochay baghair nahi reh pata .. keh jiss nay bhi yeh morr banaya hay, iss larki ko zehin main rakhtay howay banaya hay .. take her guzarnay wala kheraaj dayta howa guzray.

Iss larki kay wajood say agahi say pehlay sirf mehsoos hota tha .. jaisay chand lamhon ko pardaiss say daiss main agay hon .. shyd issi ehsaas key haton hum be-chain ho kar edhar udhar nazar dorranay par majboor howay, our phir yeh majboor adat ban gaii.

Sub insaani chehray Allah kay noor ka asks hi hotay hain, maghar baaz chehron main humain yeh aK’ss kuch ziyada hi nomayan toor par nazar ata hay, jo ghalban nazar ka dhoka hi hota hay .. nazar ka dhoka our who bhi haqeeqat say kareeb tar.

Pehli baar nazar parri to Our koi ehsaas raha hi nahi .. daikhtay rahay our soochtay rahay, Chand chehra sitara aankhain … Ubaid ul-llah aleem iss chehray our aankhon ko diakh kar kia kehtay ……. Un ki aankhain yeh keh rahain hain Adam … Adam ko kitab kia qalam ka hi shaoor na rehta…. “pyar ka pehlay shehir”, Mustansar H. Tarrarr ….. kia Mir kia Momin ….. sub yaad atay rahay our jatay rahay ……. Jo saat main our samnay raha to wahi chehra, pakizgi ka ehsaas our masoomiyat our ujlay pan ka tasawar Jo sirf Mashriq ka khassa hay …….. Mashriq ……….. Ah Humara Ishq Mashriq … humra junoon Mashirq

==>
Shehir kay hangamon say door southern France jaisa qassba hay .. Irish Pub hay .. Live music …. masti hay jo chaaii hay .. kia log kia fiza sub hi to madhoosh hain …… jawani kay saray rang bikray parray hain .. our in rangon ko chupanay ka takaluf bhi koi nahi … iss hangamay main bad’tameezi hi tameez hay, tehzeeb ke jamay say bahir hona hi tehzeeb hay.

Samany thorray faslay par darwaza hay ….. andhar aanay walon ki jhalak nazar aajati hay .. khass kar jab andhar aa kar thorri dair wahan rukh kar …mahool ka hissa bannay say pehlay sanss bhartay hain … aisay main jab kaan parri awaz sunaii na day rahi ho ….. achanak hi hyrat angeez tor par … aik jani pehchani si dastak dar e dil par sunaii dayti hay ……waqt thum gia ho jaisay our kuch bhi sunaii na day … buss wahi makhsoos dastak waqfay waqfay say ……
Nazar uttha kar samnay daikha ……. To daikhtay hi reh gay … wahi aankhain wahi chehra our Mashriqi lebass jo mashriq ke pehchan hay, wahi aanchal jo pakizgi ki mesaal hay ….halka gulabi aanchal lehrata howa , Ugla badan, nikra nikra tazgi kay ehsaas say mehka howa…… kitni dair hum gum shum rahay humain nahi maloom … kuch awazain hain kuch tasweerain hain …… Mashriqi lebass main mashirq ki batiyan hain …… our un ki sahili hay wo’h bhi aangoor ki baitti hay, donu ka saat hay .. jaisay barsat hay, moseeqi hay jo roh ki ghiza hay, ghiza say bojal fiza hay …tameez our tehzeeb kay paymanay bhi wahi hain …… our humray andhar .. bohut door hum say bhi poshida halkay say khuch gira gia ….. tthoott kar bikar gia.

===>
Subha ki ro pehli kirnain hain ….. Hawa main kunki hay … badan aap hi semattnay lagay … zara si herkat say bhi …. Rayt say shiiiiish ki sada buland hoti hay ….. aankh khulti hay to roshan subha ko daikh kar ehsaas howa .. khaliq abhi takhleeq say mayoss nahi …… …. Kaprray jharr kar hum chal parrtay hain, ta had e nazar ujlii rayt hay .. naii subha hay naii tazgi hay naya din hay … in sub kay hotay howay bhi humaray honton par aik thakii hovi udass mukorahat hay ….. our aakhon main namii ka ehsaas ….. shyed sotay main kuch za’ray aankhon main chub gay thay.-------------------.

Adab Arz
(Azad)

it is too long seems you have nothing to do :)

acha he hoo ga

:hehe: :hehe: :hehe:

its toooooooooooooo long Azad jee :halo:

:bukbuk: :bukbuk: :bukbuk:

yeah kiya _________________ hay

kia agar koi lmaba likhay to use aur koi kaam nahi hota:halo::konfused:

** dekh kar behosh hoing **

ab hosh aye ga to parho gi
:D

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
it is too long seems you have nothing to do :)

acha he hoo ga
[/QUOTE]

khushi howi sun kar ;)

humain pata hay aap nay naii bati-see lagaii hay … mobarak ho

yeh aap ke zooq say agay ki cheez hay

:smiley:

i did not say that

forget it GK! bechara dilsay say majboor hay.. sirf LuX ko hi kaam ki cheez samjhta hay

[QUOTE]
Originally posted by chand_chehra: *
*
dekh kar behosh hoing **

ab hosh aye ga to parho gi
:D
[/QUOTE]

Hosh aay bhi to keh dain keh tumhain hosh nahi ;)


bhai bataya na ..... yeh aap logon key zooq say hatt kar hay ... abhi aap logon ka bachpana hay aghar kabhi barray ho jao to parrh layna :)

:ahaa:
Azad tum ne kaha aur hum ne chor diya:flower1::snooty:waie what is LUX:konfused:

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *

khushi howi sun kar ;)
[/QUOTE]

baas aap ko khush he karna tha na.... seems you are not even missing anything.... not even pratha.....

hmmmm, thora bohat purha hai.. baki baad main purhoon gi.. :)

Re: kuch za’ray aankhon main chub gay thay

[QUOTE]
Originally posted by Azad: *
*

Iss larki kay wajood say agahi say pehlay sirf mehsoos hota tha .. jaisay chand lamhon ko pardaiss say daiss main agay hon .. shyd issi ehsaas key haton hum be-chain ho kar edhar udhar nazar dorranay par majboor howay, our phir yeh majboor adat ban gaii.
**
(Azad)
[/QUOTE]

this is the thing i like the best in ur long imagination.....

Pehla paragraph paR liya hai :k:

baaqi jab jab aaon gee tou ha baar aik aik kar key paR jaon gee.

[QUOTE]
Originally posted by ** Vivacious ***: *
hmmmm, thora bohat purha hai.. baki baad main purhoon gi.. :)
[/QUOTE]

Sudaii jee aisi jaldi bhi kia hay .... aghlay janum main parrh layna ;)