kuch tou hawaa bhi sard thee, kuch that era khayal bhi

kuch tou hawaa bhi sard thee, kuch that era khayal bhi
dil ko khushi kay saath saath hota raha malal bhi
baat who aadhi raat ki, raat who pooray chaand ki
chaand bhi aaen cheet ka is pay tera jamal bhi
sabsey nazar bacha kay woh mujhko kuch aisay dekhta
ek dafa tou ruk gaye gardis-e-mah-o-saal bhi
dil tou chamak sakay ga kya, phir bhi taras kay dekh lain gay
sheesha gar in shahar kay haath ka yeh kamal bhi
usko na paa sakay thay jab dil ka ajeeb haal tha
ab jo palat kay dekhiyah, baat thee kah kuch muhaal bhi
meri talab tha ek shaks who jo nahi mila tha phir
haath dua sey yun gira, bhool gaya sawaal bhi
uski sakhan taraziyaan meray liyah bhi dhal theen
uski hansi main chupp gaya apnay ghamon ka haal bhi
Gaah qareeb shah rag, Gaah baeed o waham o khuab
Uski rafaqaton main raat, hijr bhi thaa wisaal bhi
Uskay hi baazuoOn main aur usko hi sochtay rahay
Jism ki khuahish pay that rooh kay aur jaal bhi
Shaam ki nasamajh hawaa pooch rahi hai ek tera pata
Moj hawai koi yaar kuch tou mera khiyaal bhi

Parveen Shakir

nice one :k:

:k:

*meri talab tha ek shaks who jo nahi mila tha phir
Haath dua sey yun gira, bhool gaya sawaal bhi *

bohut khoob:k::k::k::k:
thanks:flower1:

nice choice :k:…

thanks

:k:

Buhat Khoob :k: