Kuch toot gaye hain kuch khwaab baaqi hain
Maazi ki wafaoun mein kuch saraab baaqi hain
Ab bhi wazay nahe huwi tasveer zindagi ki
Der-parda ab bhi kuch naqaab baaqi hain
Har sawaal apni jagah joon ka toon raha
Zuban pe shikayatoon ke kuch jawaab baaqi hain
Khali huwa behtay behtay yaad mein behta sagar
Phir bhi nigahoon mein kuch sailaab baaqi hain
Kisi ka asmaan tarekeyon ka ujala ban gaya
Kaheen be-rukhi ke kuch mehtaab baaqi hain
Mar bhi nahe saktay ab tu sukoon-e-zalim
Hasrattain reh jayengi kuch hijaab baaqi hain
Musalsal jal rahe aatish-e-ishq ke angaroon mein
Parastish ke aur bhi kuch adaab baaqi hain
Kagaz ke nazaroon se mehak ayegi kaise
Haqeeqat ke guldaanoon mein kuch gulab baaqi hain
Sab ko samajh na ‘shaiki’ tu yaar bewafa
Teri tarah lutay yahaan kuch nawab baaqi hain …