kuch to hawaa bhee sard thee kuch tha teraa Khayaal bhee
dil ko Khushee ke saath saath hotaa rahaa malaal bhee
baat woh aadhi raat kee raat woh pooray chaand kee
chaand bhee ain chet kaa us pe teraa jamaal bhii
sab se nazar bachaa ke woh mujh ko aise dekhate
ek dafaa to ruk gayee gardish-e-maah-o-saal bhee
dil to chamak sakegaa kyaa phir bhee taraash ke dekh lo
sheeshaagaraan-e-shahar ke haath kaa ye kamaal bhee
us ko na paa sake the jab dil kaa ajeeb haal thaa
ab jo palat ke dekhiye baat thee kuchh muhaal bhii
meri talab thaa ek shakhs woh joh nahin milaa to phir
haath duaa se yuun giraa bhuul gayaa savaal bhee
shaam kee naasamajh havaa puuch rahi hai ik pataa
mauj-e-havaa-e-kuu-e-yaar kuchh to meraa Khayaal bhi
us ke hi baazoon mein aur us ko hee sochate rahe
jism kee Khwaahishoin pe the ruuh ke aur jaal bhee