Kuch To Hawa Bhi...

Kuchh to havaa bhii sard thi,Kuchh thaa teraa khayal bhii Dil ko khushii ke saath saath hota raha malaal bhii

Baat vo aadhi raat ki,raat vo poory chaaNd kii
ChaaNd bhii aen chet kaa uspe teraa jamaal bhii

Sub say nazar bacha kay vo mujh ko aise dekhte
Eik daffa to ruk gai gardish-e- maah-o-saal bhii

Dil to chamak sake ga kya phir bhii tarash ke dekh lo
Sheesha garan-e- shahar ke haath kaa yea kamal bhii
**
Meri talab thaa ek shakhs vo jo nahin milaa to phir
Haath dua se yuu.N giraa bhool gayaa savaal bhii

Re: Kuch To Hawa Bhi...

[QUOTE]
*Originally posted by superglue: *

Kuchh to havaa bhii sard thi,Kuchh thaa teraa khayal bhii
Dil ko khushii ke saath saath hota raha malaal bhii

Baat vo aadhi raat ki,raat vo poory chaaNd kii
ChaaNd bhii aen chet kaa uspe teraa jamaal bhii

Sub say nazar bacha kay vo mujh ko aise dekhte
Eik daffa to ruk gai gardish-e- maah-o-saal bhii

Dil to chamak sake ga kya phir bhii tarash ke dekh lo
Sheesha garan-e- shahar ke haath kaa yea kamal bhii
**
Meri talab thaa ek shakhs vo jo nahin milaa to phir
Haath dua se yuu.N giraa bhool gayaa savaal bhii

[/QUOTE]

Bohat khoob superglue... :)

one of my all time favoritessss…:k:

Lovely!

Buhat khuub superglue.

Re: Kuch To Hawa Bhi…

just one word Beautiful :k:

my fav :k:
thanks

EXcellent ghazal :k:

Meri talab thaa ek shakhs vo jo nahin milaa to phir
Haath dua se yuu.N giraa bhool gayaa savaal bhii

wah wah wah…that’s my all time favorite sher :k:

Thanks for sharing it :flower2: