Perveen Shakir’s
kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi
dil ko Khushi ke saath saath hotaa raha malaal bhi
baat woh aadhi raat ki, raat woh puray chand ki
chand bhi ain chet kaa us pay tera jamaal bhi
sab se nazar bachaa kay woh mujh ko aise dekhtay
aik dafa to ruk gai gardish-e-maah-o-saal bhi
dil to chamak sakegaa kiya phir bhi tarash kay dekh lo
sheeshaagaraan-e-shahar kay haath ka ye kamaal bhi
us ko na pa sakay thay jab dil ka ajeeb haal tha
ab jo palat kay dekheiay baat thi kuch muhaal bhi
merii talab tha aik shakhs vwoh jo nahin mila to phir
haath duaa se youn giraa bhool gaya savaal bhi
shaam ki na samajh hawa pooch rahi hai aik pataa
mauj-e-hawa-e-kou-e-yaar kuch to mera Khayaal bhi