iss apni kirun ko aati huee subhoan k hawalaay karna hey
kantoan se ulajh kar jeena hey, phooloan se liput kar marna hey
shayud wo zamana loat aaey, shayud wo palut kar daikh bhee lain
inn ujree ujree nazroan main phir koi fasaana bharna hey
ye soz e daroon, ye ashk e rawaan, ye kawish e hasti kia kahiye
martay hain k kuch din jee lain hum,jeetay hain k aakhir marna hey
ik shahr e wafa k bund dareechay aankhein meechay soachtay hain
kub kafla haaey khinda e gul ko in rahoan se guzarna hey
rustoan pe undhairay phail gaey, ik manzil e gham tuk shaam huee
aey humsafaro!kia faisala hey, ub chalna hey k thaharna hey?
hur haal main ik shooreedgi e afsoon e tamana baaqi hey
khaa’boan k bhanwar main bah kar bhee khaa’boan k ghaat utarna hey