Kuch Phool Ek Faqeer Ki Jholi Main Daal Kar,,

**Saanson Ke Is Hunar K0 Na Aasaan Khayaal Kar
Zinda Hoon Sa’aton Ko Main Saddiyon Main Dhaal Kar

Maali Ne Aaj Kitni Dua’en Wasool Ke’n
Kuch Phool Ek Faqeer Ki Jholi Main Daal Kar

Kal Yoam-E-Hijar! Zard Zamaanon Ka Yoam Hai
Shab-Bhar Na Jaag, Muft Main Aankhain Na Laal Kar

Aey Gard’Baar! Loat Ke Aana Hai Phir Mujhey
Rakhna Mere Safar Ki Azziyat Sambhaal Kar

Mehraab Main Diye Ki Tarah Zindagi Guzaar
Mou’n-Zorr Aandhiyon Main Na Khud K0 Nidhaal Kar

Shayad Kisi Ne Bukhal-E-Zameen Par Kiya Hai Tanz
Gehrey Samandaron Se Jazeerey Nikaal Kar
**

Re: Kuch Phool Ek Faqeer Ki Jholi Main Daal Kar,

Beautiful ghazal KR :k:

Re: Kuch Phool Ek Faqeer Ki Jholi Main Daal Kar,

Nice one KR :k: