Re: kuch nazmein
Izzaton say barh ker tou aur kuch nahee hota *Chahton ki dori bhi, Torna hi parti hay Manzilon ki kashti bhi, Morna hi parti hay Bhoolna hi parta hay, Khud say piyaray logon ko Aur dil kay aangan mein, Naqsh un ki tasweerain Kuch haseen lafzon ki, Kuch haseen tehreerain Paaoon jin mein jukrain hon, Kholna hi parti hain Khoobrurat aankhon mein basnay walay khawbon ko Nochna hi parta hay Dil say milta her rishta torna hi parta hay...... kiun keh...... Izzaton say barh ker tou aur kuch nahee hota!!! *
Waqai Main Izzat Se Barh Ker Aur Kuch Nahi Hota.. Buhat Khoobsurat Khayal Aur Buhat Khoobsurat Takhleeq..