Apnee sochoan ke andheron main safar karta howay
Zehn per apne khayalaat ka boajh liay
Phir raha hoon barra bojhal bojhal
Soachta hoon meri soachon ka yeh tareek safar
Jaane kub khatm ho ik doar naya aajae
Meri taqdeer ke aangan main
Sahar kar jaae
Yeh mah-o-saal toa guzartay chalay jaayain gay
Hum her naeay saal ki aamad per
Yeh soacha karain gay
Ab kay baras judaai ka taweel mousam
Khatam ho jaaye ga shaayad
Laikin her guzray baras ki tarah
Mausam-e-hijraan phir humaaray darwaazay par
Dastak day ga
Aur hum hunstay aansoowon ke saath
Aik baar phir
Roati bahar ko khush-aamdaid kahain gay
Bhalay dinoan ki baat hai
Bhali si aik shakl thee
Naa yeh kay husn-e-tamam ho
Naa daikhnay main aam see
Na yeh kay wo chalay to phir
Bahar rehguzar lagay
Magar wo jab bhi saath ho
Bhala bhala safar lagay
Koi bhi rutt hoa us ki chab
Fiza ka rang roop thee
Woh garmioun ki chaoon thee
Wo sardioun ki dhoop thee
Naa muddatoun juda rahay
Naa saath subh-o-shaam ho
Naa rishta-e-wafa pay zid
Naa yeh kay azn-e-aam ho
Naa aisi khush libaasian
Kay saadgi gilaa karay
Naa aisi baytakaluffi
Kay aaina haya karay
Naa ekhtilaat main wo ram
Kay badmaza hoan khwahishain
Naa iss qadar supurdagi
Kay zich karain nawazishain
Naa aashqi junoon kee
Kay zindagi azaab ho
Naa is qadar khatoor pan
Kay dosti kharab ho
Kabhi to baat pay kafi
Kabhi sukoot bhi sukhan
Kabhi to kusht-e-zafraan
Kabhi udaasioun ka ban
Bhali si aik shakl thee
Bhali si us ki dosti
Ab uskee yaad raat din
Naheen, magar kabhi kabhi
Apnee sochoan ke andheron main safar karta howay
Zehn per apne khayalaat ka boajh liay
Phir raha hoon barra bojhal bojhal
Soachta hoon meri soachon ka yeh tareek safar
Jaane kub khatm ho ik doar naya aajae
Meri taqdeer ke aangan main
Sahar kar jaae
**This is really beautiful...**
_____________________________________________
~~~~
Yeh mah-o-saal toa guzartay chalay jaayain gay
Hum her naeay saal ki aamad per
Yeh soacha karain gay
Ab kay baras judaai ka taweel mousam
Khatam ho jaaye ga shaayad
Laikin her guzray baras ki tarah
Mausam-e-hijraan phir humaaray darwaazay par
Dastak day ga
Aur hum hunstay aansoowon ke saath
Aik baar phir
Roati bahar ko khush-aamdaid kahain gay
**Wooo great.....**
~~~~
[/QUOTE]