kuch Nazar aata nahi

dhondhte ho kiyoun wahaan per mai jidhar aata nahi
dil jaley jis aashiyaan mai main udhar aata nahi

sochta hoon phir miley ikbaar tumse zindagi
jaanta hoon waqat guzra laut kar aata nahi

meri manzil meri duniya aaik weerane mai hai
mere sehra tak koi bhi rehguzar aata nahi

har tarahf tareekiyaan hain har tarahf tanhayian
khud ki parchayian hain baaqi kuch nazar aata nahi

sab ko koi gham hai jo banta hai ashkoon ka sabab
koi gham to hai mujhey bhi yaad par aata nahi