"Kuch NAHEEN Miltaa"

**Kissi ki aankh say sapnay chura kar kuch naheen milta
Mundairoon say chiragho’n ko bujha kar kuch naheen milta

Koi ik aadh sapnaa ho to phir achcha bhee lagta hay
Hazaroon khwaab aankhoon main sajaa kar kuch naheen milta

Sukoo’n un ko naheen milta kabhi pardais ja kar bhee
Jinhain apnay watan say dil laga kar kuch naheen milta

Usaay kahna kay palkoon per na taa’nkay khwaab ki jhalar
samandar kay kinaray ghar banaa kar kuch naheen milta

yeh achcha hay k aapas k bharam na tootnay paae’n
Kabhee bhee dostoon ko aazma kar kuch naeen milta

Faqat tum say karta hoon main saari raaz ki baatain
Her ik ko daastaan e dil suna kar kuch naheen milta

Usaay main piyaar karta hoon to mujh ko chain aata hay
woh kahta hay ussay mujh ko sata kar kuch naheen milta

Mujahy aksar sitaroo’n say yahi aawaz aati hay
Kissi kay hijr main neendain ganvaa kar kuch naheen milta

Jigar hojaiga chalnee yeh aankhain khoon roaangee
WASI bay faiz loogoon say nibhaa kar kuch naheen milta
**

Re: "Kuch NAHEEN Miltaa"

waiting 4................

Re: "Kuch NAHEEN Miltaa"

waiting 5..................

Re: "Kuch NAHEEN Miltaa"

Its Faiz so i have to say its good but frankly if the last sheer didnt had the word "Faiz" i would never believe its Faiz's work.

Re: "Kuch NAHEEN Miltaa"

hmmmmmmmmmmm... if u start being naumeed from now.. then wish u best of luck in future.. btw good job liked it :)

Re: "Kuch NAHEEN Miltaa"

Faqat tum say karta hoon main saari raaz ki baatain
Her ik ko daastaan e dil suna kar kuch naheen milta

wow lala zaberdast bhe app nay to jamal key sath kamal bhe ker dhekhya.
*wasy kis say kertay heen raz ki batien bataien na plz plz *

Re: "Kuch NAHEEN Miltaa"

Usaay main piyaar karta hoon to mujh ko chain aata hay
woh kahta hay ussay mujh ko sata kar kuch naheen milta

uffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffffff lala ji app ko chain ata hey us ko kuch nahe milta wow ab koi sataey to bataien kertay heen kuch us ka bhe

Re: "Kuch NAHEEN Miltaa"

well it,s very very nice ghazal words hotay to tarif kertay hey

Re: “Kuch NAHEEN Miltaa”

WASI SHAH nay likay hay yaar:)

Re: “Kuch NAHEEN Miltaa”

waiasy yeh ti shair o shairii hay janab haqeeqat say is ka door ka waasta naheen…well

**Apnay LAHOO say roshan kardee’n galyaan is veeranay ki
Gar’chay rahain tang buhat thee shaher e wafa ko janay ki
Jaan thee aik so hazir kardi phir bhi rahay sharminda say
Dil waalay khud hee likh laingay surkhee is afsaanay kii…:blush:

**

Re: “Kuch NAHEEN Miltaa”

Sab bata doon ??? :blush:

Re: "Kuch NAHEEN Miltaa"

Jigar hojaiga chalnee yeh aankhain khoon roaangee
WASI bay faiz loogoon say nibhaa kar kuch naheen milta

my all time fav poetry!!
thnx 4 sharing :)

Re: “Kuch NAHEEN Miltaa”

Its Beautiful… Precious :flower1:

Re: “Kuch NAHEEN Miltaa”

sib nahe bataien thora sa batadien plz plz:D

Re: “Kuch NAHEEN Miltaa”

:queen: :soldier:

:queen::soldier:

Re: "Kuch NAHEEN Miltaa"

nice sharing... :)

Re: "Kuch NAHEEN Miltaa"

thanx all of u...