Hamari soch ki parvaaz ko rokay naheen koi
Naye aflaak pay pehray bitha kar kuch naheen milta
Koi ik aadh sapna ho tau acha bhi yeh lagta hai
Hazaaroon khwaab aankhon mein sajaa kar kuch naheen milta
Sukoon inn ko nahee milta kabhi pardes ja kar bhi
Jinhain apne watan se dil laga kar kuch naheen milta :k:
Ussay kehna kay palkon per na taanke khwab ki jhaalar
Samundar kay kinaray ghar bana kar kuch naheen milta
Yeh acha hai kay apas ki sharam na tootne paaye
Kabhi bhi dostoun ko aazma kar kuch naheen milta
Na jane kaun say jazbay ki youn taskeen karta houn
Bazaahir tau tumhare khat jala kar kuch naheen milta
Faqat tum say hi karta houn main sari raaz ki batain
Har ik ko daastan-e-dil suna kar kuch naheen milta
Amal ki sookhti rag mein zara sa khoon shamil kar
Mairay hamdam faqat baatain bana kar kuch naheen milta
Mujhay aksar sitaron say yehi awaaz aayee hai
Kisi kay hijr mein neendain ganwa kar kuch naheen milta**