kabhi kabhi kisi khayal ko alfaaz ka roop detay hoe mehsos hota hay k ye to kisi sher ka ek misra hosakta hay.. aisay main doosra misra taraash kar sher mukammal karnay ki justuju janam leti hay.. koshish say kabhi kabhar kamyaabi bhi mil jaati hay.. agar zameen aasaan ho aur tabiyat bhi raaghib ho to mazeed thorhi si tag o dau say aagay peechay teen chaar ashaar jorh kar kuch ghazal numa si bun jaati hay…
aisee he aik haalya ghazal pesh e khidmat hay..
Teray milnay ka imkaa’n kuch nahee’n hay
nahee’n hay jaan e janaa’n kuch nahee’n hay
hoi muddat k dil mar khap gaya hay
meray seenay main raqsaa’n kuch nahee’n hay
bayaaz e zeest k safhoo’n pay bikhree
kaii nazmoo’n ka unwaa’n kuch nahee’n hay
teri dunya sehel hay gar to hogi
meri dunya main aasaa’n kuch nahee’n hay
khizaa’n kehti hay dhookay main na aana
pas e jashn e baharaa’n kuch nahee’n hay
ye hum nay saath barsoo’n reh k jaana
**hamaaray beech yaksaa’n kuch nahee’n hay
**