Asalam u Alaikum !
Kuch Mizaah Se Related Post Keejiye I Am Sad Thanks !
bEiNG lonEly !!! sid !!!
Asalam u Alaikum !
Kuch Mizaah Se Related Post Keejiye I Am Sad Thanks !
bEiNG lonEly !!! sid !!!
Murga mera murghioun main bara mashoor huva hai **
*Jaisay Filmoun main Amir khan ka dour huva hai *
*Har rooz ek nai murghi k sath gali main tehalna *
*Iss baat ka murghoun main bara shoor huva hai *
*Kaai bar ho chuki hai raqeebon k hath pitaai *
*Kha kha kar maar, dheet or moun zor huva hai *
*Ek baar pakra giya beywa murghi k sang sar-e-aam *
*Randway murghoun main iss baat par ghoor huva hai *
*Kambakht deta nahi hai abb kabhi sehar ki azan *
*Aayashioun main doob kar aisa kam choor huva hai *
*Kuch na poocho thanaydar k ghar iss par kya guzri *
*Bas yaaro ek adad tang say maazoor huva hai *
*Molvi sahib ki murghi jab say kar gai intayqal *
**Tab say bechara laa char or kamzoor huva hai
Parosan nay mara tana, murgha mera bhi meray jaisa
Sun kar yeh baat Tahir sharmindah zaroor huva hai <!-- google_ad_section_end -->
Re: Kuch Mizaah Post Keejiye
| Sidhu udas ho to zara bahar ja kar street main bhago dekhna sari tension kahtam ho jai gi (bas yehi prob. hogi ke log kahain ge pagal larka hai :p) :chai: |
Re: Kuch Mizaah Post Keejiye
Janab Udass Nahi Hotay ..... or ager app ke Shadi nahi hoi hoi to phir to hona he nahi Chahye kabhi Udass :D Kion kay Udasiyan to Shadi ke baad Shuro hoTi hain ... Bass yeh perhain or apNa MooD FIT Karen ... ;)
*~~~~~~~~~~*
LARKAY KA KHUWAB
~~~~~~~~~~ **
*Apni Aise Wife ho,
5'6" jis ke Height ho, *
**
Jeans Tight Tight ho,
Chehra jis ka Bright ho,
Umar 22 se 27 ho,
Aise Apni Wife ho.**
*Sadak per sab kaheN kya cute ho,
Bhir me sab kaheN Side ho, Side ho,
*
*Pindi, Islamabad ya Peshawar ki Paidaish ho,
Sas ki khidmat jiski khwahish ho
*
*Aisi Apni Wife ho. *
*Padosi jab baat karay to Haath me knife ho,
Dinner ke waqt Candle light ho,
*
**Ham me Tum me Kabhi na koi Fight ho,
Milnay ke baad Dill Delight ho,
**
*Aise Apni Wife ho. *
*~~~~~~~~~~*
LARKI KA JAWAB
~~~~~~~~~~ **
*6'2" jis ke Height ho
Jeans Dheeli magar Body Tight ho
*
*Bewi ka her Nakhra uthaye, Itna Mizaaj uska Light ho
Husband Apna aisa Bright ho *
*Uff tak na kare Itna Quiet ho
Dinner banaye wo Jab bhi Romantic Night ho
*
*Shopping ker ke jab bhi aoon, Bolay Begum Tum kitni Nice ho
Husband Apna aisa Bright ho *
*Mujhay Rani bana ker rakhay, To phir Zindagi Delight ho
Saas Sussar ke samne kahay, Jaan tum Hamesha Right ho
*
*Hamesha jo haar maan jaye, Jab bhi kabhi Fight ho
Husband Apna aisa Bright ho *
*Jaha chahoon jaon, Jo chahy karoon, Kuch is Tarah ke Life ho
Her doosray Week Ghoomne Phirne ke Flight ho
*
Aisa ho jaye to mein urron Aasman mein, Jaisay ke kite ho
Husband Apna aisa Bright ho :p
Re: Kuch Mizaah Post Keejiye
iss mizzah ko agar Voice gallery maiN bhee saath saath parallel post kiyaa jaaye tau mazaa dobala ho jaaye ![]()
Tujhay Mujh Say Mujh Ku Tujh Say Ju Buhat He Piyaar Hoota
Na Tujhay Qarar Houta Na Mujhay Qarar Houta
Taira Her Maraz Ulajhta Mairee Jaan-e-Natiwaan Say
Tu Tujhay Zakam Houta Tu Mujhay Boukhaar Hoota
Ju Mian Tujh Ku Yaad Karta Tujhay Cheenkna Bhee Parta
Mairay Saath Bhee Yaqeenun Yehi Baar Baar Houta
Kissee Chowk Main Lagaty Koi Chooriyoun Ka Khookha
Tairay Shaher Main Bhee Apna Koi Karoobaar Houta
Gham-e-Ranj-e-Ashiqana Nahee Calculatorana
Ussay Main Shumaar Karta Ju na Bayshumaar Houta
Wahan Zair-e-Bahuss Aatay Khat-o-Khal-o-Khoaay Khubaan
Gham-e-Ishq Purr Ju Anwar Koi Seminaar Houta:)
Re: Kuch Mizaah Post Keejiye
Thank u Thank u :)
Re: Kuch Mizaah Post Keejiye
ilaahi ye kiya majra hugayaa...
k andy py haathi khara hu gaya
Re: Kuch Mizaah Post Keejiye
:k: