Kuch meri jaisi kahaani thee ...

Shab-e-ghum mein tanhaee ki mehfil sajatay rahay Raat bhar taaray bhi humein aap-beeti sunatay rahay

Kuch meri jaisi kahaani thee chaand ki bhi
Aur chandni ki lauh mein hum dil jalaatay rahay

Thamm si gaee thee fizayyain bhi humein dekh kar
Naghma ghum ka sehar tak hum gun’gunaatay rahay

Bahut soona soona thaa dar-o-dewaar ghar ka
Yun tu jugno bhi aas paas tim’timaatay rahay

Khamoshi bhi cheekh pari thee raat ke san’naatay mein
Jaanay kis ko hum apna qissa sunaatay rahay

Kaun thaa pehlu mein mere aakhiri-e-shab tak
Kis ke aansoo mere daaman pe aatay rahay …

:k:

boht khoob.. :k:

Nice :k:

Thank you for your comments and visit friends ...