1- Tera khayal bohot dair tak nahi rehta
Koi malal bohot dair tak nahi rehta
Udaas karti hay aksar tumhari yaad mujhay
Magar ye haal bohot dair tak nahi rehta
2- Guftagoo kijiye k ye fitrat-e-Insaan hay shakeeb
Jalay lag jatay hain jab band Makan hota hay
3- Chahta rahoon main tujh ko haasil na kar sakoon
Lazzat kahan wo qurub main, jo faslay main hay
4- Aaja k abhi yaad k mosam nahi guzra…
Aaja k paharoon pay abhi baraf jami hay…
Khusboo k jazeeroon say sitaroon ki hadoon tak
Sub kuch hay meray sheher main ik teri kami hay
to be continue…