***sach to yehi hey magar dil maan'taa nahi
wo badla to is qadaR k ab pehchan'ta nahi
poora na utaR paey ga wo kasaoti pe wafa ki
hoti agaR ye khabar to usey jaanch'taa nahi
wafa ki ik khuwahish thi wafa ke siley meiN
kon hey jo mohabbat ka sila maang'taa nahi
neend meiN daR aatey heiN seylaab jafa ke
fasl koi khowaaboN ki khud ujaarr'taa nahi
jeeney ki talab meiN martey heiN baar baar
kuch logoN ka muqaddaR kabhi jaag'taa nahi***
I like it but I dont understand what a few words mean...can you please translate! I understand the gist of it...just need a little clarification!!!!!!!! kasaoti
*jaanch* jafa
***seylaab