Kuch log: haseen yaadon ki tarha hotay hain, jinhain yaad karkay dil khush hojata hai, aur jin ko bhulana na mumkin hai.
kuch Log: gharon ki tarha hotay hain, woh chahay kitnay hi door kyun na hon, dil ki rooh main simat janay ko baychain rahta hai.
kuch log: DuaoN ki tarha hotay hain, abhi hum sajday main sarr jhukatay hain kah woh ashkon ki tarha humari aankhon sey tapak partay hain.
Kuch log: khutoot ki tarha hotay hain jinhain baar baar parh kar bhi dil nahi bharta aur dil chahta hai kah woh humaray aas paas rahain.
aur..
Kuch log: nigah ki tarha hotay hain, agar woh humaray saath hon tou andheray main bhi raasta mil jata hai.