kuch lakeerain..another ghazal

kuch lakeerain pyar ki tehreer ban gayi
rang phainkay thay aur teri tasveer ban gayi

chal na sakay hum, hamain bewafa kehtay rahay
pyar kay waaday thay jo paoon ki zanjee ban gayi

hum nay to apni si koshish ki bohut laikin
kuch na kar sakay, naakami hi taqdeer ban gayi

sapnay aatay thi kabhi, ab samajh main aaye
tujh say milan na tha un main, tabeer ban gayi.

very nice...


-------Maria-------
~Kiya haaq wo jeena hai jo apnay hi liyay ho
Khud mit kar kisi aur ko mitnay se bacha lay~