Kuch takyey ashkoon se
Geelay hotay hain
Soch samajh kar bola karo
Kuch lafz barray
Zehreelay hotay hain
Lafzoon ki jadugari mein
Koi sab kuch paa leta hai
Koi sab kuch lauta deta hai
Koi sukhi hojata hai
Koi dukhi hojata hai
Yeh lafz hain
Kabhi marham ban jaatay hain
Kabhi maatam ban jaatay hain
Kisi ko khwaab mil jaatay hain
Kisi ke khwaab jal jaatay hain
Lafzoon ki jadugari mein
Kuch chehray rangeelay hotay hain
Kuch chehray peelay hotay hain
** Soch samajh kar bola karo
Kuch lafz barray
Zehreelay hotay hain **
bahut khoob
waqae arif ji kuch lafz baray zeharelaay hotay hain kath daltay hain dil ko :(
lafz kia kuch amal bhi aisay hotay hain jo dil ko jala jatay hain!
khair khush rahiye sada kiya kehna aap ki poetries ka!!