**Har baat main aik baat hai woh baat pata kar,
Woh baat kaisay samjhay woh asraat pata kar,
Aayen gai teri raah main kayee imtihaan banday,
In imtihaanon ke woh jawabaat pata kar,
Soch hai ozaar usay istimaal kar,
Ajab dhaat sai bani hai, tu woh dhaat pata kar,
Ghaafil ka to jeena bhi aur marna bhi aik hai,
Jis sai ho tu bedaar woh asraat pata kar,
Dil main chhupa hua hai, tu khud ko talaash kar,
Apnay main doob kai tu ab woh zaat pata kar,
Pehla qadam to hota hai hamesha hi mushkil,
Mushkil rahay na mushkil woh jazbaat pata kar,
Un sai seekho jo likh gaye qomon ki taqdeerain,
Maazi main jaakay ab tu woh hazraat pata kar…
Lajawab**