pyar kay diye jalanay walay kuch kuch pagal hotay hain
apni jaan say janay walay kuch kuch pagal hotay hain
**hijr kay gehray zakham milay to mujh ko yeh ehsas hua **
pagal ko samjhanay walay kuch kuch pagal hotay hain
**jaan say piyaray logoon say bhi kuch kuch pardah lazim hai **
**sari baat batanay walay kuch kuch pagal hotay hain **
khaboon main bhi milne kay sapnay dekhtay rehtay hain
neendon main muskanay walay kuch kuch pagal hotay hain
**is jhooti duniya main hum nay yehi hamesha dekha hai **
sachi baat batanay walay kuch kuch pagal hotay hain
piyar jinhain ho jaey un ko chain bhala kab mil pata hai?
shab bhar ashk bahanay walay kuch kuch pagal hotay hain
**apni zaat say ujray gulshan say woh piyar kahan kartay hain? **
auroon ko mehkanay walay kuch kuch pagal hotay hain
**us kay ishq main bheeg kay ‘Adii’ hum ko yeh ehsas hua **
dil ki baat main anay walay kuch kuch pagal hotay hain