**Kuch khawaab hain
Jin ko rakhna hai
Taabeer ky soorat deni hai
Kuch log hain
Ujhray dil waalay
Jinhen muhabbat deni hai
Kuch neendain abhi baaky hen
Jinhen baantana hai kuch loghun mein
Ae umar.e.rawaan aahista chal
Ahista chal
Abhi khaasa qarz chukaana hai…**
Re: Kuch khawaab hain
**Ae umar.e.rawaan aahista chal
Ahista chal
Abhi khaasa qarz chukaana hai…
:k:
aur aahista karwalo.. qarz ke sath sood bhi chukana hai 
**
Re: Kuch khawaab hain
Sood Haraam hy bro.......
Re: Kuch khawaab hain
asal se sood ziada pyara hota hai 
Re: Kuch khawaab hain
hmm........mohawron mein aisa suna hy.........kuch
Diva
7
Re: Kuch khawaab hain
Be efficient. Time wait for none. :)
tarash
8
Re: Kuch khawaab hain
**Ae umar.e.rawaan aahista chal
Ahista chal
Abhi khaasa qarz chukaana hai...
**umer e rawaan to ahista nahin chale gi aap hi qarz chukane ki speed ziada krein
Re: Kuch khawaab hain
**Ae umar.e.rawaan aahista chal
Ahista chal
Abhi khaasa qarz chukaana hai...
**umer e rawaan to ahista nahin chale gi aap hi qarz chukane ki speed ziada krein
Hmm......... aisa hi kuch krna pary ga...........
Re: Kuch khawaab hain
Khawab tootiaan ya bikhar jaiaan mohsin...
Keemtiaan kab wasool hoti hain...
tarash
11
Re: Kuch khawaab hain
Khawab tootiaan ya bikhar jaiaan mohsin...
Keemtiaan kab wasool hoti hain...
kya khawabon ki bhi qeemat hoti hai???