~~Kuch ISHQ Tha Kuch MAJBOORI Thi ~~

^^^^^^^^^^^
80808080808
-------
+
**
Kuch Ishq Tha Kuch Majboori Thee
So Mainay Jeevan Vaar Diyaa
Main Kaisaa Zinda Aadmi Thaa
Ek Shakhs Nay Mujh Ko Maar Diyaa
**
*Yeh Saja Sajaya Ghar Saaqi *
Mayree Zaat Naheen Mayra Haal Naheen
*Ay Kaash Kabhi Tum Jaan Sako *
jo Us Sukh Nay Aazaar Diyaa
**
*Main Khuli Hovee Ek Sach’chai *
Mujhay Jaan’nay Walay Jaantay Hian
Mainay Kin Logoon Say Nafrat Ki
Aur Kin Logoon Say Pyaar Kiyaa
**
*Woh Ishq Buhat Mushkil Tha magar *
Aasaa’n Na Youn Jeena Bhi
*Us Ishq Nay Zinda Rehnay Ka *
*Mujhay Zarf Diya Pindaar Diyaa
*
Ek Sabz Shaakh Gulaab Ki Thee
Ek Dunya Apnay Pyaar Ki Thee
Woh Ek Bahaar Jo Aa’ee Naheen
Uskay Li’ay Sab Kuch Haar Diyaa
**
Main Rootha Hoon Aur Aasmaa’n Say
*Taaray Toot’tay Daikhtaa Hoon *
Un Logoon Par Jin Logoon Nay
*Mayray Logoon Ko Aazaar Diyaa
*
*Woh Yaar Hoon Ya Mehboob Mayray *
Yaa Kabhi Kabhi Milnay Walay
Ek Lazzat Sab Kay Milnay Main

*Woh Zakm Diya Ya Pyaar Diyaa
*
*--------------------------------------------
**
*~~ Obaidullah Aleem ~~

Re: ~~Kuch ISHQ Tha Kuch MAJBOORI Thi ~~

Nice Sharing.. :k:

Re: ~~Kuch ISHQ Tha Kuch MAJBOORI Thi ~~

Thanx Shumi :~)

Re: ~~Kuch ISHQ Tha Kuch MAJBOORI Thi ~~

nice

Re: ~~Kuch ISHQ Tha Kuch MAJBOORI Thi ~~

very nice.

Re: ~~Kuch ISHQ Tha Kuch MAJBOORI Thi ~~

Thanx Both Of U :~)

Re: ~~Kuch ISHQ Tha Kuch MAJBOORI Thi ~~

ache he ho geh :AID:

Re: ~~Kuch ISHQ Tha Kuch MAJBOORI Thi ~~

:omg: … tum baaz Naheen aaogee poetry ki jaan :hugz:

Re: ~~Kuch ISHQ Tha Kuch MAJBOORI Thi ~~

Good One Precious^Khan..:k:

Re: ~~Kuch ISHQ Tha Kuch MAJBOORI Thi ~~

Thanx Aaryaan Bhai :~)

Re: ~~Kuch ISHQ Tha Kuch MAJBOORI Thi ~~

poetry kes ka nam he :hehe:

Re: ~~Kuch ISHQ Tha Kuch MAJBOORI Thi ~~

poets ki kavishoon ka

P.S gudd one PeeK

Re: ~~Kuch ISHQ Tha Kuch MAJBOORI Thi ~~

Buhat khoob , Khan :-)

Re: ~~Kuch ISHQ Tha Kuch MAJBOORI Thi ~~

Sab K Saamanay Naheen Bataonhga :fatee:

Thanx Bheegzz :~)

ThankQ Gul :~)

Re: ~~Kuch ISHQ Tha Kuch MAJBOORI Thi ~~

very nice :k:

Re: ~~Kuch ISHQ Tha Kuch MAJBOORI Thi ~~

very nice gazal & sung nicely too.
thanks for sharing.
best,
Dushwari

Re: ~~Kuch ISHQ Tha Kuch MAJBOORI Thi ~~

Thanx Shaboo :~)

Thanx Dush :~)

Re: ~~Kuch ISHQ Tha Kuch MAJBOORI Thi ~~

Kuch Ishq Tha Kuch Majboori Thee *
*So Mainay Jeevan Vaar Diyaa

Main Kaisaa Zinda Aadmi Thaa *
*Ek Shakhs Nay Mujh Ko Maar Diyaa

Main Khuli Hovee Ek Sach'chai *
*Mujhay Jaan'nay Walay Jaantay Hian

Mainay Kin Logoon Say Nafrat Ki
Aur Kin Logoon Say Pyaar Kiyaa

totaly amazing

Re: ~~Kuch ISHQ Tha Kuch MAJBOORI Thi ~~

v.good............ye meri fev dairy men hy

Re: ~~Kuch ISHQ Tha Kuch MAJBOORI Thi ~~

Thanx Zhind … welcome To GS :bb:

Thanx S786 :~)

Dairiyaa’n Banatay Banatay Humari Umer Tamam Ho Ga’ee :~(