kuch ishq tha, kuch majboori thee,
so mainay jeewan waar diya,
main kaisa zinda aadmi tha,
ek shakhs nay mujh ko maar diya,
ek sabz shaakh gulaab ki tha,
ek dunya apnay khuwaab ki tha,
wo ek bahaar jo ayee nahi,
uss ke liyay sabb kuch haar diya,
ye sajaa sajaaya ghar saathi,
mairee zaat nahi, mera haal nahi,
aye kaash kabhi tum jaan sako,
jo iss sukh nay aazaar diya..
main khulee huee, ek sachaayee,
mujhay jannay waalay jaantay hain,
mainay kinn logon say nafrat kee,
aur kinn logon ko pyaar diya..
wo ishq bohat mushkil tha magar,
aasaan na tha, yoon jeena bhee,
uss ishq nay zinda rehnay ka,
mujhay zarff diyaa, pindaar diya,
main rota hoon, aur aasmaan say,
taaray toot-tay dekhta hoon,
unn logon par jin logon nay,
mairay logon ko aazaar diya…
mairay bachon ko allah rakhay,
inn taaza hawaa ke jhonkon nay,
main khush pairh khizaan ka tha,
mujhay kaisa BARG-o-BAAR DIYA
kuch ishq tha, kuch majboori thee,
so mainay jeewan waar diya..
main kaisa zinda aadmi tha,
ek shakhs nay mujhko maar diya..
poem by obaid-ullah-aleem (late) audio file located here.](Yahoo | Mail, Weather, Search, Politics, News, Finance, Sports & Videos) (copy shortcut/link and open in realplayer)