Kuch is qadar bhi asaan nahee mujh ko bhulaana jaanaa
Apne is dil se mujh ko nikalna jaanaa
Kabhi aaenay ke samne apni zulfain jo sanwarogi
Tumhein mein tab bahut yaad aaonga jaanaa
Jab baadal suraj ko apni baahoon mein chupa raha hoga
Tab kisi ke hath thaamne per yaad aaonga jaanaa
Kabhi muskura kar kisi se baatain karogi jab tum
Tab meri muskurahatain tum ko satayengi jaanaa
Kabhi ounchi awaaz mein kisi ko pukarogi jab tum
Mera lab per ungli rakh kar chup karana yad ayega jaanaa
Jab kisi dukh mein aankh ashkoo se bhar aayegi
Tab kisi ka haath sar per rakh kar chup karana yad ayega jaanaa
Jab mein nahee honga tumhare saath tab
Meri har baat tum ko sataayegi jaanaa