Re: Kuch Ghazlain, Meri Diary Se..
Aik Ghazal, Jo Mujhe Buhat Pasand Hai..
Ye Zara Zara Si Baat Par Tarhan Tarhan Ke Azaab Kiun? Jo Kisi Sey Bhi Khafa Na Ho Mujhey Us Khuda Ki Talaash Hey
Mujhey Laghzishon Pe Har Gharri Koi Tok’ta Hey Baar Baar Jisey Kar Ke Dil Ko Dukh Na Ho Mujhey Us Gunaah Ki Talaash Hey
Mein Dhoondta Hoon Wo Khizaan Jisey Gulshanon Sey Pyaar Ho Jisey Kisi Chiragh Sey Na Bey’r Ho Mujhey Us Hawa Ki Talaash Hey
Mujhey Us Nagar Ki Hey Justuju Jahan Koi Bhi Chahata Nahi Lahu Jahan Hiran Ko Sheir Sey Dar Na Ho Mujhey Us Jaga Ki Talaash Hey
Yahan Ik Lamhey Ke Parrao Mein Merey Sarey Phool Jhulas Gaey Ab Jahaan Talkhion Ki Tappish Na Ho Mujhey Us Fiza Ki Talaash Hey
Bina Humsafar Ke Kab Talak Koi Musafiton Mein Laga Rahey Jahan Koi Kisi Sey Juda Na Ho Mujhey Us Raah Ki Talaash Hey
In Husn-Kadon Ke Shor Sey Meri Samaa’atein Hein Ajnabi Ho Jis Pukaar Mein Mukhlisi Mujhey Us Sada Ki Talaash Hey
Mujhey Deikh Kar Jo Ik Nazar Merey Sarey Dard Samajh Sakey Jo Is Qadar Ho Chaara-Gar Mujhey Us Nigaah Ki Talaash Hey
,
I loved this one, written by Amal:-)