Kuch gham E jaanaaN kuch gham E dauraaN, dono meri zaat ke naam
Ek Ghazal mansoob hai tujh se ek Ghazal haalaat ke naam
Mauj E balaa deewaar E shahar par ab tak jo kuchh likhti rahi***
***Meri kitaab E zeest ko paRhiye!!, darj hai sab sadmaat ke naam
Sehra, zindaaN, tauQ, salaasil, aatish, zahr aur daar o rasan***
Kya kya hum ne de raK_Khe hain aap ke ehsanaat k naam
Us ki gali se maQtal E jaaN tak, masjid se maikhaane tak***
Uljhan, pyaas, khalish, tanhaayi, karb zada lamhaat ke naam
Girte kheeme, jalti tanabaiN, aag ka dariya, khoon ki nahr***
Aise munazzam mansooboN ko dooN kaise aafaat ke naam
Roushan chehraa, bheegi zulfaiN, dooN kis ko kis par tarjeeh***
Ek Qaseeda dhoop ka lik_khuN, ek Ghazal barsaat ke naam
Jin ke liye mar mar ke jiye hum, kya paayaa un se ‘Manzur’***
Kuchh ruswaayi, kuchh badnaami, hum ko mili sauGhaat ke naam