KuCh es Adaa se milte ho JaanaaN kabhi kabhi

KuCh es Adaa se milte ho JaanaaN kabhi kabhi
KaaNTe bhi lagne lagte hain kaliyaaN kabhi kabhi



Jab Zabt-e-Gam Dill pe na JaanaaN koi raha
Motii sajaa liye hain Sar-e-Mizsh_gaaN kabhi kabhi



Shaayad ke naa Khudaa ko bhi logo Khabar na thi
RuKh apnaa moD leta hai TuufaaN kabhi kabhi



KuCh yuuN lagaa ki Husn Sitaaron men Ghir gayaa
Dekhii jo un ki MaaNg mein AfshaaN kabhi kabhi



Dil par lagi jo choT to Ge bhar ke Ro’O liye
YuuN bhi kiya hai Dard ka DaramaaN kabhi kabhi



NaadaaN ho is qadar tumhe ye bhi Khabar nahin
Chaltaa hai masalehat se bhi InsaaN kabhi kabhi



Tum un ko kyaa kahoge jo JhuuThi Anaa ke Saath
Dekhe gaye libaas mein uriyaaN kabhi kabhi



**isaar mein Wafaa mein AqeeDat mein Payaar mein
‘Rehan’ vo lagaa hai NumaayaaN kabhi kabhi
**