kuch din to baso meri ankhon mein

kuch din to baso meri ankhon mein
phir khawab agar ho jaou to kia

koi roop to do mere chehre ko
phir zakhm agar mehkao to kia

gar hum hi na mehkay, phir sahib
tum baad-e-saba kehlaon to kia

aik aaina tha so toot gaya
khud se agar sharmao to kia..

tum aas bandhany walay thy
ab tum bhi humain thukrao to kia

main tanha tha, main tanha hoon
tum aao to kia na aao to kia

duniya bhi wohi tum bhi wohi
phir tum se aas lagaon to kia

jab daikhny wala koi nai
bujh jao to kia jal jao to kia

ik vehm hai ye duniya is main
kuch kho’o to kia kuch pao to kia

hai yun bhi ziyaan aur yun bhi ziyaan
jee jaon to kia mar jaoon to kia

Re: kuch din to baso meri ankhon mein

Bahut khoob … :k: