Kuch bhi to nahi waisa......

Kuch bhi to nahi waisa
jaisa tujhay socha tha
jitna tujhay chaha tha
socha tha teray lab per
kuch harf duaoon k
kuch phool wafaoon k
mehkain gay meri khatir
kuch bhi to nahi waisa
jaisa tujhay socha tha
mehsoos yeh hota hai
dukh jheelay thay jo ab tak
bay naam musafat main
likhnay ki mohabbat main
perhnay ki zaroorat main

bay sood riyazat thi
bay faiz ibadat thi
jo khawab bhi thay dekhay
in jaagti aankhon ne

sab khaam khayali thi
phir bhi tujhay panay ki
dil k kissi goshay main
khawahish to bachaa li thi

laikin tujhay pa ker bhi
aur khud ko gawa ker bhi

is habs k mausam ki khirki se hawa aai
na phool se khushboo ki koi bhi sada aai

ab neend hai aankhon main
na dil main woh pehli si taza sukhan aarai
na lafaz meray niklay
na harf o mani ki danish meray kaam aai
nadeeda rafaqat main
jitni bhi aziyyat thi
sab meray hi naam aai
kuch bhi to nahi waisa
jaisa tujhay socha tha
jaisa tujhay chaha tha…!

Re: Kuch bhi to nahi waisa…

:hinna:

tum door the to kia huwa, tum mil gae to kia huwa
veeraniyan kam na hui, tanha tha main tanha raha

Re: Kuch bhi to nahi waisa......

:(

Re: Kuch bhi to nahi waisa......

aisa kiyun hota hai ke jis se boht tawaqqa ho, wo umeedon pe poora nahi utarta

Re: Kuch bhi to nahi waisa......

yak tarfa Mohabbat ki wajha sy..............i think

Re: Kuch bhi to nahi waisa......

suna hai muhabbat ka pata chal hi jata hai.. phir agli party kisi ki muhabbat main agar interested nahi hoti to aage jane kiyun deti hai

Re: Kuch bhi to nahi waisa......

Her kisi mein salahiyat nhi hoti Mohabbat ko mehsoss krny ki.............
agar ho bhi ja`ay or wo interested nhi ho to.........Wo sochta hy laga rehny do Aapna hi waqt zaaya kry ga........jo k usko nhi krna cahhiya,
Aagar koi mohabbat k jawab mein Mohbbat nhi dyna chahta to Kam sy kam usko ehsan tariqy sy samjha dy........

Re: Kuch bhi to nahi waisa......

lekin muhabbat karne wale aasan tareeqe se to kia kutte choRne per bhi nahin samjhte

Re: Kuch bhi to nahi waisa......

1 dafa to samjhana perta hy.........us k baad

goli maar bhaijy mein byja shoor krta hy..........

Re: Kuch bhi to nahi waisa…

:hmmm: kia wo 90 pe rehti hai

Re: Kuch bhi to nahi waisa…

90 hi Q…?
Goli her jaga mil sakti hy…
bhaly sy khany peeny ki koi shay na mily…Karachi mein

Re: Kuch bhi to nahi waisa......

:(

Re: Kuch bhi to nahi waisa......

Aisa hi hy.........:(

Re: Kuch bhi to nahi waisa…

lagta hai shadi ho gaye :hehe:
mohabbat ke death :x2:

wohi toui was saying…insan akela he rehta hai

Re: Kuch bhi to nahi waisa…

:rotfl: this just made me laugh out loud