Tere gham bhi tou hain mere, Khushian tou tumhari hain
Rag-a-jaan mai jo chalti hain Saansain bhi tumhari hain
Aaghaz-a-Mohabbat hai karti ho sitm keh kay
Anjaam-a-Mohabbat ki shartain bhi tumhari hain
Jis ki hai talab mujh ko Jin kay liye jeeta hun
Heeray hai’n na moti wo Aankhain hi tumhari hain
Phoolon ka sakoon poocho aakay tou kabhi hum say
Hum nay tou teri shartain kantoon pay guzari hain
A’gar tuj ko gham-e-jaan hai tou pooch lay hum say bhi
Kuch baazi Mohabbat ki hum nay bhi tou Haari hain
Kuch rehm-o-karam hum pay kuch nazr-o-karam hum pay
Mola kay na Malik kay tere dar kay bhikari hain
by!
usman(us ke naam jo mere dimagh ke hakon mai lahoo barhta hai)
UsMAN & 1534