Aalhan
January 21, 2004, 6:40pm
1
**Kuch baat nirali thee ous meh laqa kee
Chahee jo wafa ousnay tou jee bhar kay jafa kee
Jati theeN baharaiN bhee chaman choar kay jis waqt
Bulbul bhee to sayyad nay ous waqt rayha kee!
Kehtay thay keh marnay meiN bhi bulbul kee khata thee
Kambakht nay daikho to zara hum say dagha kee
Hay hukm keh mar mar kay jeeyouN, jee kay marooN maiN!
May~aad barha dee hay mairee ousnay saza kee
Gar waqt~e~nazaa soorat~e~zaiba ka ho deedaar
Atee hoee ghariyaaN bhi teher jaiN qaza kee!
Kuch waqt kay ghaoo thay to kuch gard~e~zamana
Pehli see to soorat na thee ous shokh ada kee!
Vaiz nay bhi may~khanay ko jee khoal kay loota
Kafir o MusalmaaN ki bhi tafreeq mita dee
Yunhi rahay abaad sada phoolay phalay tou!
Hur lamha tairay haq maiN yeh ~Aalhan~ nay dua kee!
**
Aalhan
January 23, 2004, 2:55pm
4
**Muslim_Queen and cuteepie,
thanks guys :=)
**
AQ
January 24, 2004, 3:21am
6
oh wow. that is a master piece buddy:k:
Vaiz nay bhi may~khanay ko jee khoal kay loota
Kafir o MusalmaaN ki bhi tafreeq mita dee
bahut khoob:)
Aalhan
January 25, 2004, 8:44pm
7
**shoki :=)
Anwaar Quresh bhaijaan, buhot buhot shukria, meherbani.
You're too kind :=). I'm glad you liked it.**
beautiful:k:
u should keep writing:flower1:
Azad
January 26, 2004, 5:16am
9
Vaiz nay bhi may~khanay ko jee khoal kay loota
hummm
Aalhan
January 26, 2004, 11:41am
11
**ghazal kisi ke and Farwa, it
means so much to see the responses. Good to
see that you liked it. Readers' feedback is always
the inspirational factor for any poet/author. :=)
Azad, I hope you're ok :P**
Awesome stuff~! Keep sharing with us plz :-)